Information on Smartphones Sensors In Hindi 2018 | Technology Duniya

Information on Smartphones Sensors In Hindi 2018

Hello All my Friends mujhe pata hai ap log humari new post ka wait kar rahe honge. aaj mai jo post likh raha hu usme hum apko sensors ki jankari denge jo smartphone,iPad, iPhone etc. Me lage hote hai aaj mai un sabhi sensors ke bare me batayenge to ab jan le sensors hote kya hai sensors ka simple matlab hai jaise man lo apke pas God ne eye dekhne ke liye, Ear sunne ke liye  ,Tongue taste ke liye,etc.



Jisse ap kisi bhi chiz ko feel kar sakte hai ye humari body ke sensor hote hai jo hume god ne diye hai usi tarah se smartphone me bhi alag alag prakar ke sensor lage hote hai jisse hum jo chaye wo kar sakte hai

Sensors kya hote hai aur kya use hota hai
Yaha mai niche kuch sensor bata raha hu jo humare smartphone me lage hote hai  jisse ap sensors ke bare me jankari le sakte hai aur apni knowledge ko badha sakte hai.


Light sensors

Jaisa iska name hai ye bilkul vaise hi kam karta hai jyadatar phones me light  sensor laga hota jisse agar aap din bhar phone use karte hai to ye apke phone me sensor jaruri hona chaiye kyu ki isse apki eye pe bad effect ni padega ye sensor apki aas pas ki light ko control karta hai jaise man lijiye ap sunlight me phone chala rae to apke phone ki brightness automatically increase ho jayegi aur agar ap Rat me phone yani andhere me phone chala rahe to apke phone ki jarurat ke hisab se brightness increase ho jayegi ye sensor laghbagh 8000 rupees ke jo phone aate hai ya unse jyada un sabhi phone me laga hota hai.


Accelerometer sensor

Ye sensor sabhi smartphone me hota hai is sensor ka main work Rotation aur motion ka hota hai hai apne dekha hoga sabhi phone me ek option hota hi screen rotation ka agar hum usko enable kar de to agar phone ko hum vertically pakde hai to screen vertical ho jayegi aur agar horizontal pakde hai to screen horizontally ho jayegi aur apne kuch game khele honge phones me jaise Dangerous Riding usme agar hum bike ko jidhar motion karte hai wo waha ho jati hai is sensor ka work gaming me bhi aata hai.


Promixity sensor

Ye sensor bhi jyadatar phone me laga hua hota is sensor ka work hota hai kisi bi physical contact ke bina aaspas ke object ki presence ko detect karta hai jaise apke screen ke aaspas koi chij rakhi hai to uspe nazar rakhta hai jaise ap logo ne dekha hoga Agar hum android phone pe call aa rai hai aur humne usko receive karke jaise hi ear ke pas le Gaye screen ki light apne ap off ho jati hai aur phone lock ho jata hai aur jaise hi apne phone ko ear ke pas se hataya phone ki screen light automatic on ho jati hai is sensor ka yahi work hota aur ye phone ke front camera ke aaspas laga hota hai jisse screen ki aaspas chizo ko control rakhne me madad karta hai ' ye post aap Technology-duniya.blogspot.com par padh rahe hai '.


Magnetometer sensor

Ye sensor aaj kal ke  sabhi Android phone me aata hai ye sensor bilkul compass ki tarah work karta hai iska work hota hai aas pas ki location ko janna jo phone me GPS laga hota hai bo isi sensor ki madad se work karta hai apne dekha hoga Agar aap kahi ghumne ja rahe hai to apne google map me apni city ka name dal di aur to jha tak ap ja rahe hai puri location dikhegi agar ap sai raste pe ja rahe hai to sahi dikhega agar galat raste me ja rahe to wrong way dikhayega  yani ye sensor hum logo ke liye bhut usefull hai.


Gryoscope sensor

Ye sensor bhi aaj kal ke sabhi android phone me aata haI ye sensor accelerometer ka advanced version hai isko G sensor bhi bolte hai ye sensor humari rotation aur motion par work karta hai iska use camera me bhi hota hai Agar ap ek sath pure room ki photo capture karna chate hai to bo bhi kar kar sakte hai har phone ke camere me ek feature hota hai ponarama  jiski madad se hum 360 degree ke angle se photo le sakte hai yani room ke upar niche left right har jagah ki picture ek hi bar me capture kar sakte hai aur is sensor ka work gaming me bhi hota hai ' ye post app Technology-duniya.blogspot.com par pad rahe hai '  Agar ap koi game khel rahe left right jidhar Chaho rotation ke hisab se move ho jata hai is sensor ka work gaming me bhi aata hai.


Barometer sensor

Ye sensor kuch hi phone me hota hai ye sensor jyadatar mehenge phones mai hi aata hai iska work hota hai environment ki Air pressure ko mapta hai samudra ki sea level mapta hai Agar ap kisi mountain pe khade hai to ap is sensor ki madad se pata kar sakte hai ki ap kitni height pe khade hai
Ye sab jankari deta hai aur agar ye sensor apke phone me hai to Apke phone ka GPS aur ache se work karega isliye ye sensor bhi humare phone me hona jaruri hai.


Air humidity sensor

Jaisa iska name hai air humidity ye bilkul baise hi work karta hai humidity ka matlab hota hai hawa is sensor ka work hota hai apke aaspas ka weather (mausam)  batana agar apke aaspas ka weather kharab hone wala hai to apko upar notification me warning dikhayega jisse ap kahi safe mode me yani safe jagah par chale jaye ye sensor kuch hi phone me hota hai jyadatar ye mehenge phones me ho aata hai.


Pedometer sensor

Ye sensor bhi apko bhut kam phones me milega kyu ki ye sensor mehenge phones ke liye hi bana hai hai is sensor ka work hota hai humare foot ko mapta hai yani ap 1 din me kitne kadam chale hai usko jankari deta hai ye sensor bhi Accelerometer meter ki tarah hi baki kam bhi iske accelerometer meter ke jaise hi hai.


Thermometer sensor

Ye sensor bhi apko sabhi phones me dekhne ko milega ye sensor bhi bilkul vaise ho work karega hai jaisa iska name hai ye sensor humare phone ke internally parts ke bare me jankari deta hai jaise humare phone ka processor kitna heat ho rha hai Phone ki screen kitni heat ho rai hai uski sab jankari deta hai aur ye external ko mapne ke liye bhi hota hai jisse apke atmosphere ka temperature batane me madad karta hai.


Fingerprint sensor

Is sensor ka name to ap logo ne suna hi hoga ki ye kitna popular hai pehle je jo phones aate the usme ye sensor ni hota tha lakin ap jo high quality ke phone aate hai unme ye sensor lage hote hai jaise Samsung galaxy S4, S5, S6,Apple 6S ,5S etc.
Par ab to ye sensor har new mobiles mai dekhne ko mil jata hai like, redmi series, mi series, lenovo, moto series etc. Is sensor se ap apne phone ki high security badha sakte hai jisse apka phone hacker logo ke alawa koi ni khol payega ye sensor apki finger print ko scan karke lock kar leta hai fir agar apka koi aur banda phone kholega to ni khulega kyu apki finger print aur uski finger print match ni karegi so ye sensor humare liye bhut useful hai
Aaj is post ke jariye apko smartphone ke sare sensor ki jankari mil gyi hogi jisse agar ap koi new phone lene jaye to ap uske sensor ke bare me achi knowledge ko hogi aur agar humara ye post pasand aya hai to isko share karna na bhule  ..Bas Dosto aaj ke liye bas Itna hi..



Stay Tuned With Us
Thank You Friends
Have A Nice Day